saanjh samay ik masat kavi youn geet manohar gata jaye
pal pal barhtay andhkaar mein, dhayaan kay deep jalata jaye
ik sim sim say lakh jharookay darshan kay khulwata jaye
saray jug ka roop samaitay, jhooli phir phaylaata jaye
iktaray ka maigh dowat tanoon ka meena barsaata aye
chinchalta, muskaan, madhurta, kaya kaya phool khilata jaye
janay kis basti, kis parbat, kis ban ko mad''matta jaye
qadmoon ke pehchaan mitaata, rahoon ko uljhaata jaye
jag kay bhaid ujagar karta, apnay bhaid chupaata jaye
geetoon ko jawala bharkaata, tun man ko pighlaata jaye
beeti ghariyoon ke yadoon kay teroon say barmata jaye
bhat'kata, behlata, bay kal karta, dheer bundhaata jaye
Insha jee hai naam inhee ka, chahoo tu in say milwayain
in ke rooh dehakta lawa, hum tu in kay paas na jayain
yeah jo log banoon mein phirtay joogi bayraagi kehalwayain
in kay haath adab say choomain, in kay aagay sees nawain
na ye laal jattayain rakhain, na ye ang bhaboot ramayain
na ye geeroo rung faqeeri choola pehan pehan itraayain
basti say guzrain tu saray punghat ke sundar ballayain
in kee payaas bujhanay ko khud umad ghumar badal ban jayain
nagari nagri ghomanay waloon mein in ke mashoor kathayain
waisay baat karoo tu laaj kay maray ankhain jhuk jhuk jayain
na in ke gudree mein tanba paisa, na mankay malayain
pareem ka kasa, roop ke bhiksha, geet ghaza, dohay, kaveetain
jog bajoog ke battain jhooti, saab ka jee behlana - hoo
phir bhi hum say jatay jatay aik ghazal sun jaana - hoo
sari duniya aqal ke bairee, koun yahaan par sayana - hoo
na haq naam dharain sab hum ko, divana divana - hoo
nagri nagri lakhoon dawaray, har dawaray par lakh sakhi
laykin jab hum bhool chukay hain daman ka phaylana - hoo
aath samandar paar ke goori, khail zara kartar kay daikh
hum ko tha iss shehar mein milna, uss ko tha milwana - hoo
tairay yeh kaya jee mein aye khainch liyeah sharma kay hont
hum ko zehar pilaanay walli, amrat bhi pilwaana - hoo
sawan beeta, bhadoon beeta, ujray ujray man kay khait...
koyal aab tu koot uthana, meegha barsaana - hoo
aik hee sourat, aik he chehra, basti, parbat, jungal, paynth
aur kissi kay ab kaya hoon gai, chor humain bhat'kana - hoo
hum bhi jhootay, tum bhi jhootay, aik ussi ka sacha naam
jis say deep jalana seekha, parwana jal jaana - hoo
seedhay man ko aan daboochain, meethi batain, sundar bool
meer, nazeer, kabeer aur insha, sara aik gharana - hoo