joogi ka bana kar bhais phiray
barhan hai koye, jo dais phiray
seenay mein liyeah seenay ke dukhan
aati hai pawan, jaati hai pwan
pholoo nay kaha, kantoon nay kaha
kuch dair thehar, daman na chura
par iss ka chalan, wehshee ka chalan
aati hai pawan, jaati hai pawan
iss ka tu kaheen maskun na makaan
awara ba dil, awara bajaaan
logoon kay hain ghar, logoon kay watan
aati hai pawan, jaati hai pawan
yahaan koun pawan ke negaah mein hai
woh jo rah mein hai, bus raah mein hai
parbat keh nagar, sehra keh chaman
aati hai pawan, jaati hai pawan
ruknay ke nahi jaa, uth bhi chukoo
insha jee chaloo haan tum bhi chaloo
aur saath challay dukhta howa mun
aati hai pawan, jaati hai pawan