Uss naar mein aisa roop na tha , jis roop se din ki dhoop dabbey
iss shehar mein kya kya gori hai , mehtaab rukhey gulnaar labbey
kuch baat thi uss ki baatoo'n mein,kuch bhaid they uss ke chitwan mein
wuhi bhaid ke joat jagaatey hain , kisi chahney waaley ke mann mein
ussey apna banaey ki dhun mein , hua aap hi aap se begaana
Iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam tha Deewana
-----------------------------------------------------------
Na chanchal khail jawani ke , na payaar ki al'harh ghaatein thein
bus raah mein unn ka milna tha aur phone pe unn ki baatein thein
iss Ishq pe ham bhi hanstey they , behasil sa behasil tha?
ik roz biphartey sagar mein , na kashti thi na sahil tha
jo baat thi in ke ji mein thi , jo bhaid tha yaksar anjaana
iss basti ek ik koochey mein , ik Inshah naam tha deewana
-------------------------------------------------------------
ik roz magar barkha rutt mein , wo bhaadoon' thi ya sawan tha
deewar pe beech sumandar ke , yeh dekhney waloo'n ne dekha
mastana haath mein haath diye , yeh aik Kagar pe baithey they
youn Shaam hui phir Raat hui , jab Sailaani ghar laot gey
kya raat thi wo - ji chahta hai uss raat pe likhein Afsaana
iss basti ke ik koochey mein ik Inhah naam tha deewana
------------------------------------------------------------
Haa'n Umar ka saath nibhaaney ke they Ehad bohat Paimaan bohat
wo jin pe bharosa karney mein kuch sood nahi , Nuqsaan bohat
wo Naar yeh keh kar door hui - " majboori Sajan Majboori"
yeh wehshat se ranjoor huye aur ranjoori si ranjoori
uss roz hamein maloom hua , uss shakhs ka mushkil samjhana
iss basti ke ik koochey mein , Ik Inshah naam tha deewana
...........................................................................................................
Go Aag se Chaati jalti thi , Go Aankh se darya behta tha
har aik se dukh nahi kehta tha , Chup rehta tha Gham sehta tha
Naadaan hain wo jo chairtey hain , iss aalam mein deewanoo'n ko
uss shakhs se aik jawab mila , sab apnoo'n ko baigaanoo'n ko
"kuch aur kaho to Sunta hoo'n , iss Baab mein kuch mat farmana"
iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam ka deewana
--------------------------------------------------------------
Ab aagey ka Tehqeeq nahi , go sun'ney ko ham suntey they
uss Naar ki jo jo baatein thein , uss Naar ke jo jo Qissey they
ik Shaam jo uss ko bulwaya , kuch samjhaya bechaarey ne
uss raat yeh qissa paak kiya , kuch kha hi liya dukhyaarey ne
kya baat hui , kis toar hui ? Akhbaar se logoo'n ne jana
iss basti ke ik koochey mein , ik Inshah naam tha deewana
--------------------------------------------------------------
Har baat ki khoj to theek nahi , tum ham ko kahani kehney do
Uss naar ka naam maqam hai kya , iss baat pe parda rehney do
ham se bhi soda mumkin hai , tum se bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaa'n ho sakta hai , yeh apni Katha ho sakti hai
wo naar bhi aakhir pachtaayi , kis kaam ka aisa pachtaana?
iss basti ke ik koochey mein , ik Inshah Naam tha deewaan