lub per naam kisi ka ho, dill main tera naqsha hay
Aay tasweer bananey wali, jab sey tujh ko dekha hay
be terey kya wehshat hum ko, tujh bin kaisa sab'r-o sakoo.n?
tu hi apna sheher hay jaani, tu hi apna sehra hay
neeley perbat, oodhi dharti, charoo.b koot main tu hi tu
tujh sey apney jee ki khalwat, tujh sey mun ka maila hay
aaj tu hum bikne ko aay, aaj humarey daam laga
Yousuf tu bazaar-e wafa main, aik tikey ko bikta hay
lay jaani ab apne mun k pairahan ki girhai.n khol
lay jaani ab aadhi shab hay, charoo.n taraf sanata hay
tofaa.n ki baat nahi hay, tofaa.n aatey jaatey rehtey hain
tu ik narm hawa ka jhonka, dill k baagh main tehra hay
ya tu aaj humai.n apna lay, ya tu aaj humara ban
dekh k waqt guzarta jaay, koun abad tak jeeta hay
firda mehez fasoo.n ka parda, hum tu aaj k bandey hain
hij'r-o vasl,wafa aur dhoka sab kuch aa j pe rakhta hay