faraz karoo hum ehal e wafa hoon, faraz karoo deevanay hoon
faraz karoo yeah donoon battain jhooti hoon afsaanay hoon
faraz karoo yeah jee ke bipta, jee say jor sunayee hoo
faraz karoo abhi aur hoo itni, adhee hum nay chupayee hoo
faraz karo tumhain khush karnay kay dhoonday hum nay bahanay hoon
faraz karoo yeah nain tumharay such mujh kay may'khaanay hoon
faraz karo yeah roog ho jhoota, jhooti peet humaree hoo
faraz karoo iss peet kay roog mein sans bhi hum pay bharee hoo
faraz karoo yeah jog bajoog ka hm nay dhoong rachaya ho
faraz karoo bus yeahi huqeeqat baki sab kuch maya hoo
daikh mairi jaan keh gaye bahoo, koun diloon ke jaanay... hoo
basti basti sehra sehra, kahoon karain divaanay - hoo
joogi bhi jo nagar nagar mein maray maray phirtay hain
kaas liyeah bhabhoot ramaye sab kay dawaray phirtay hain
shair bhi jo meeti bani bol kay man ko hartay hain
banjaray jo onchay damoon jee kay sooday kartay hain
in mein sachay mooti bhi hain, in mein kankar pathar bhi
in mein uthlay pani bhi hain, in mein gehray sagar bhee
goori daikh kay agay barhna, saab ka jhoota sacha - hoo
doobnay wali doob gaiye woh gara tha jis ka kacha - hoo