ley chali jii ki beqarari door
hum samajhte they apni baari door
dostoo.n manzilain humari ......dorr
bhais kya kya bharai.n junoo samaa.n
(shehr, gulshan, mehl-sara, zindaa.n)
shaam ko apne shehr ki galiyaa.n
chand bhi sorat-e kitaa.n sad chaak
chandni bhi fasurda-o ghum-naak
jee main aati hay loteye sar-e khaak
muzmahil muzmahil sitare bhi
dasht-e aflaak k chakarey bhi
akhir ik samt ko sudh'hare bhi
raah-e janaa.n main jaa.n sipaar hain log
hij'r-e janaa.n main be-qarar hain log
phir bhi hum sey kharab-o khwaar hain log?
chand main kutch khayyal karte hain
apna jeena wabaal karte hain
Meer sahab kamal karte hain
kyu teher sa gaya hay waqt miyaa.n
aur kitne dawa zada k nishaa.n
aur kitni firaaq ki ghariyaa.n