kal hum nay sapna daikha hai
jo apna hoo nahi sakta hai
uss shakhas ko apna daikha hai
woh shakhas kay jis ke khatir hum nay
iss dais phirain, uss dais phirain
joogi ka bana kar bhais phirain
chahat kay niraalay geet likhain
jee mohnay wallay geet likhain
dharti kay mehaktay baghoon say
kaliyoon ke jhooli bhar layain
anbar kay sajeelay mundal say
taroon ke dooli bhar layain
haan kis kay liyeah, sab us kay liyeah
woh jis kay lap pay taisoo hai
woh jiss kay naina ahoo hain
jo khaar bhi hai aur khushbo bhee
jo dard bhi hai aur daroo bhi
woh alhar see, woh chunchal see
woh shair see, woh pagal see
loug aap hee aap samajh jayain
hum naam na uss ka bat'layain
aye daikhnay waloo tum nay bhi
uss naar kee peet ke anchoon mein
iss dil ka tapna daikha hai ?
kul hum nay sapna daikha hai...