hum bunjaray dil waalay hain
aur painth mein dairay dalay hain
tum dhooka dainay waali hoo ?
hum dhooka khanay wallay hain
iss mein tu nahi sharmaoo gee ?
kaya dhooka dainay aoo gee ?
saab maal nikaloo, laay aoo
aye basti waloo, lay aaoo
yeh tun ka jhoota jaadu bhi
yeah mun ke jhooti khusbo bhi
yeah taal banatay ansoo bhi
yeah jaal bichatay gaysoo bhi
yeah larzish dooltay seenay ke
par sach nahi boltay seenay kee
yeah hoont bhi, hum say kaya choori
kaya sach much jhootay hain goori ?
in rumzoon mein in ghatoon mein
in wadoon mein in batoon mein
kuch khoot haqeeqat ka tu nahi ?
kuch mayal sadaqat ka tu nahi ?
yeah saray dhookay lay aoo
yeah payaray dhookay lay aoo
kiyon rukhoo khud say door humain
jo daam kahoo, manzoor humain
in kaanch kay mankoon kay badlay
haan bolo goori kaya loo gee ?
tum aik jahaan kee ashrafiyaan ?
yaa dil aur jaan ke asharafiyaan ?