yoon kehne ko raahai.n mulk-e wafa ki ujaal gaya

yoon kehne ko raahai.n mulk-e wafa ki ujaal gaya
ik dhundh mili jis raah main peek-e khayyal gaya
phir chand humain kisi raat ko god main daal gaya

hum shehr main theh'rai.n, aisa tu ji ka rog nahi
aur ban bhi hain soney, un main bhi hum sey log nahi
aur kochey ko terey lotne ka tu sawaal gaya

terey lutf-o ata ki dhoom sahi mehfil mehfil
ik shakhs tha Insha naam mohabbat main kamil
ye shakhs yahan pamaal raha, pamaal gaya

teri chah main dekha hum nay bahaal-e kharaab ise
per ishq-o wafa k yaad rahe aadaab ise
tera naam-o maqaam jo pocha, hans k taal gaya

ik saal gaya, ik saal naya hay aane ko
per waqt ki bhi abb hosh nahi dewaane ko
dill haath sey is k wehshi hiran misaal gaya

hum ahl-e wafa ranjoor sahi, majboor nahi
aur shehr-e wafa sey dasht-e junoo kutch door nahi
hum khush na sahi, per terey tu sar ka wabaal gaya

abb husn k garh aur shehr panahain soni hain
wo jo ashna thay us sab ki nigahain soni hain
per tu jo gaya har baat ka jee sey malal gaya
Related Posts with Thumbnails