yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain

yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain

hain lakhoo roog zamanay mein, kiyon ishq hai ruswa bay'chara
hain aur bhi wajhain wehshat ke, insaan ko rukhteen dukhyaara
haan bay kal bay kal rehta hai, hoo peet mein jiss nay jee haara
par shaam say lay subah talak youn koun phiraay ga awaara ?
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain

yeh baat ajeeb sunatay hoo, woh duniya say bay'aaas howay
ik naam suna aur ghush khaya, aik zikar pay aap udaas howay
woh ilam mein aflatoon sunay, woh shair mein tulsi daas howay
woh tees baras kay hotay hain, woh BA MA paas howay
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain

gar ishq kiya hai tab kaya hai, kiyon shaad nahi abaad nahi
jo jaan liyeah bin tal na sakkay, yeah ayeesi bhi aftaad nahi
yeah baat tu tum bhi manoo gai, woh qais nahi farhaad nahi
kaya hijar kar daroo mushkil hai ? kaya visal kay nushkhay yad nahi
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain

woh larki achi larki hai, tum naam na loo hum jaan gai
woh jiss kay lambay gaisoo hain, pehchaan gai pehchaan gai
haan sath humaray insha bhi uss ghar mein thai mehman gai
par uss say tu kuch baat na kee, anjaan rahay anjaan gai
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain

jo hm say kaho hum kartay hain, kaya insha ko samjhana hai ?
uss larki say bhi keh layain gai, goo ab kuch aur zamana hai
ya choorain ya tukmeel karain, goo ab kuch aur zamana hai
yeh kaisa goorukh dhunda hai, yeah kaisa tana bana hai
yeah battain kaisi battain hain, jo logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee sodaaye hain ?
Related Posts with Thumbnails