Ho naa dunya mai koi hum sa bhi piysa logo

Ho naa dunya mai koi hum sa bhi piysa logo
Ji mai aati hay keh pi jain yeh darya logo

Kitni iss sheher kay sakhyun ki suni thein batein
Hum jo aaye tou kisi ne bhi naa pocha logo

Ittifaqun hi sahi per koi dar tou khulta
Jhilmilata pas-e-chilman koi saya logo

Sub ke sub mast rahe apne nehan khanon main
Koi kuch baat musafir ki bhi sunta logo

Hongay iss sheher mai kuch iskay bhi parhne wale
Yun tou yeh shakhs bhi mashoor tha khasa logo

Ek tasveer thi kiya janye kis ki tasveer
Naqsh mohom se aur rang ura sa logo

Ek aawaz thi kiya janye kis ki aawaz
Uss ney aawaz ka rishta bhi na rakha logo

Kuch pata uss ka humain ho tou tumhain batlain
Kaun ghar?kaun nagar?kaun mohallah logo

Chand hurfoon ka moamma tha woh uljha suljha
uss ne tou naam bhi poora na bataya logo

Haye yeh dard ke mushkil se thama tha dil mai
Chand ponam ka abhi se nikal aaya logo

Phir wohi dasht wohi dasht ki tanhai hay
Wehshat-e-dil ne kahin ka bhi na rakha logo

Uss main himmat hay tou dar aaye utha de yeh hisar
Apne gunbad mai tou dar hay na darecha logo

Ji ki ji hi mai rahein hasratein toofanoo ki
yeh safina tou kinare hi peh dooba logo

Koi paigham zabani bhi nahin kuch bhi nahin
Hum ne apne ko bohat dair sambhala logo

Band aankhain hoi jati hain pisarein paon
Neend si neend?humain abb na uthana logo

Ek hi shab hai taveel,itni taveel,itni taveel
Apne ayaam main amroz na farda logo

Abb koi aaye tou kehna"musafir tou gaya"
Aur yeh bhi kehna keh"bhala abb bhi na jata logo"

Rah taktay hoye pathra gai thein aankhain
Aah bhartay hoye chalni hoa seena logo

Hont jaltay thay jo leta tha kabhi aap ka naam
Iss tarah aur kisi ko naa satana logo........
Related Posts with Thumbnails