maazi k kharabe ki

maazi k kharabe ki
mehraab-e shikasta per
ik naam jo kunda hay
kya naam hay kis ka hay?

na saal na sin is ka
na raat na din is main
tasweer nahi koi
tehreer nahi koi
na teer ka naqsha hay
na paan ka patta hay
ehwaal musafir ka
pinhaa.n hay na paida hay

kiya janeye kab koi
kis dais sey aaya ho
apnoo.n sey wo ghumdeeda
wehshat main paraya ho
kis haal main rehta ho
kiya bhais banaya ho
badal ho k bijli ho
wo dhoop k saya ho
jogi ho k banjara
raja k riaya ho
jis roz sey dill uss nay
duniya sey uthaya ho

kis kis sey lagagya ho
aur dard hi paya ho
maazi k kharabe ki
mehraab-e shikasta per
is naqsh sey kiya matlub
is harf k kiya maani?
ye naam mita dalo
be-naam bana dalo
haa.n ajnabi Insha ko
awara-o ruswa ko
Related Posts with Thumbnails