sab ko jee k daagh dikhaay, aik tujhi ko dikha na sake

sab ko jee k daagh dikhaay, aik tujhi ko dikha na sake
tera daman door nahi tha, haath humain phaila na sake

tu aay dost kahan lay aaya chehra ye khursheed misaal
seene main aabad karain gai, ankhoo.n main tu sama na sake

na tujh sey kutch hum ko nisbat, na tujh ko kutch hum sey kaam
hum ko ye maloom tha lakin dill ko ye samjha na sake

abb tujh sey kis munh sey kah dain saat samander paar na ja
beech ki ik dewaar bhi hum tu phaand na paay dhaa na sake

mun paapi ki ujri khaiti sookhi ki sookhi hi rahi
umdey badal, girjey badal, bondain do barsa na sakey
Related Posts with Thumbnails