Dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay ise jalne do

Dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay ise jalne do
is aag sey logo door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
hum raat dina yoon hi ghulte rahain, koi pochey k hum ko na pochey
koi sajan ho ya dushman ho, tum zikr kisi ka mat chiaro
sab jaan k sapne dekhtey hain, sab jaan k dhokey khaatey hain
ye dewaane sada hi sahi, per itne bhi sada hain yaroo?
kis meethi tapish k malik hain thitharti hoi aag k angiyaarey
tum nay tu kabhi sainka hi nahi, tum kya samjho, tum kya jano

dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do
is aag sey tum tu door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
har mehfil main hum donoo.n ki kya kya nmahi batain hoti hain
in baatoo.n ka mafhoom hay kya, tum kya samjho, tum kya jano
dill chal k laboo.n tak aa na saka, lub khul na sake ghum ja na saka
apna tu bas itna qissa tha, wo waqt kahan wo baat kahan
jab marte they marne na diya, abb jeetey hain abb jeene do

dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do
is aag sey Insha door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
logoo.n ki tu baatain sachchi hain....aur dill ka bhi kehna karna howa
per baat humaari mano tu...ya un k bano ya apney raho
raahi bhi nahi, rehzan bhi nahi, bijli bhi nahi, khirman bhi nahi
aisa bhi bhala hota hay kaheen, tum bhi tu ajab deewane ho
is khail main har baat apni kahan, jeet apni kahan maat apni kahan
ya khail sey yak-sar uth jaao, ya jaati baazi jane do

DILL PEET KI AAG MAIN JALTA HAY
Related Posts with Thumbnails