duniya bhar say door yeah nagri

duniya bhar say door yeah nagri
nagri duniya bhar say nirali
andar armanoon ka mayla
bahir say dikhoo tu khaali
hum hain iss kut'yaa kay joogi
hum hain iss nagri kay wali
hum nay tuh rakha hai zamana
tum ana tu tunha aana

dil ik kut'yaa dasht kinaray
basti ka sa haal nahi hai
mukhiya, peer, parohat, payaday
in sab ka junjaal nahi hai
na baniyeah na seith na thakur
paynth naheen, choopal nahi
soona, roopa, chooki, masnad
yeah bhi maal manaal nahi hai
laikin yeah joogi dil waala
aye goori kungaal nahi hai
chahoo jo chahat ka khazana
tum aana aur tunha aana

ahoo mangay ban ka rumna
bhanwara chahay phool ke dali
sookhay khail ke konpal mangay
ik ghungoor badriyaa kali
dhoop jallay kaheen saya chahain
andhee rattain deep davalee
hum kaya mangain hum kaya chahain ?
hont sillay aur jhooli khaali
dil bhanwara na phool na konpal
bagiya na bagiya ka maali
dil ahoo na dhoop na saya
dil kee apni baat nirali
dil tu kissi darshan ka bhooka
dil tu kissi darshan ka sawali
naam liyeah ban para pukaray
kissay pukaray, dasht kinaray ?

yeah tu ik duniya ko chahain
in ko kissi nay apna jana
aur tu sab logoon ka thikana
insha jee ka koun thikana ?
aab bhatkain tu aap hee bhatkain
choora duniya ko bhatkana
geet kabat aur nazmain ghazlain
yeah sab in ka maal purana
jhooti battain, sachee batain
beetee battain kaya dohrana
aab tu goori naye siray say
andhiyaaroon mein deep jalana
majboori ? kaisee majboori
aana hoo tu laakh bahana

aana iss kut'ya kay dawaray
dil ik kut'yaa dasht kinaray
Related Posts with Thumbnails