Suntey hain is dard ka darmaa.n ho ga per kis din ho ga

Suntey hain is dard ka darmaa.n ho ga per kis din ho ga
Insha Jee do aik baras main tees (30) humara sin ho ga
Alhar pan ki rook laga kar rokain gai...............la kin ho ga

Qaryoo.n main parwaan charhey hum, shehroo.n main aabad rahey
Qamat chehra wo wo dekha kabhi na bhooley, yaad rahey
Dast k under Qais rahey hum, koh pe ja Farhaad baney

Jis sorat k peechey bhaagey haath na aai khwaab bani
Ya sagar ki teh ka moti ya bint-e mehtaab bani
Haa.n nazmoo.n ki khaip sey aachi khaasi ik kitaab bani

Saarey ishq adhorey chotey, loley langrey, aadhey pon
Jug main roop saroop k malik itne they per apna koun
Aay dill apney dard ka chara wasl-e sanam ya Sairedon?

Na apni taqdeer sanwaari, na logoo.n k kaam aay
Phir bhi hum per aik jaha.n k aaney thay ilzaam aay
Ab tak dewaano main sab sey upper apna naam aay

Apney begaanoo sey darte gongi behri baatai.n kahain
Daag-e jigar ko lala-e rangee.n, ashkoo.n ko barsaat kahain
soraj ko soraj na pukarain, din ko ujli raat kahain

shab bhar fikr-e sher main bhatkain tab do bait ki sorat ho
wo bhi apni khatir likhain, dill ki door kadorat ho
log bhala kyu lay kar chapain, in ki kise zarorat ho?

beeta kal tu jaisa beeta, is ka zikr akarat hay
Aaney wale kal k peechey aaj ka din kyu gharat hay
jhooti fikrain sachchi fikrain, oonchi aik imarat hay

Alahar pan ki rrok laga kar rokain gay lakin ho ga
Insha Jee don aik baras main tees (30) humara sin ho ga
suntey hain is dard ka dadrmaa.n ho ga per kis din ho ga?
Related Posts with Thumbnails